اردو हिंदी
Har ghar ke makinon ne hi dar khole hue the | Shaahi Shayari
har ghar ke makinon ne hi dar khole hue the

Ghazal

Har ghar ke makinon ne hi dar khole hue the

Anjum Tarazi

;

har ghar ke makinon ne hi dar khole hue the
saman bandha rakkha tha par khole hue the

kya karte jo do chaar qadam tha lab-e-dariya
jab hausle hi raKHt-e-safar khole hue the

ek us ke bichhaDne ka qalaq sab ko hua tha
sarsabz daraKHton ne bhi sar khole hue the

sachchai ki KHushbu ki ramaq tak na thi un mein
wo log jo bazar-e-hunar khole hue the

pahuncha tha haqiqat ko koi ek hi 'anjum'
aankhen to kai ahl-e-nazar khole hue the