har ghaDi pesh-e-nazar ishq mein kya kya na raha
mera dil bas teri taswir ka diwana raha
ye sitam mujh pe mere ishq ka achchha na raha
tujh ko dekha to mera dil mera apna na raha
aisa madhosh kiya teri tajalli ne mujhe
tur bhi mere liye wajh-e-tamasha na raha
yun tere naqsh-e-kaf-e-pa pe ada ki hai namaz
sar mein kaba ke liye ek bhi sajda na raha
zindagani tujhe le jaun mein kis ke dar par
dil mein hasrat na rahi sar mein bhi sauda na raha
wo na kabe mein mila hai na sanam-KHane mein
kya qayamat hai ki wo shoKH kisi ka na raha
ibtida ye thi ki main apna samajhta tha unhen
intiha ye hai ki main aap bhi apna na raha
wo paraya tha 'fana' is ka gila kya kije
gham to ye hai ki main KHud aap bhi apna na raha
Ghazal
Har ghaDi pesh-e-nazar ishq mein kya kya na raha
Fana bulandshahri