har ghaDi mat ruTh us se pher pal mein mil na ja
gar bhala manas hai us kuche mein tu ai dil na ja
awwal-e-ishq un buton ka lutf hai dam-e-fareb
us ki mehr-o-dilbari par ai dil-e-mail na ja
tegh-e-kin se KHak-o-KHun mein kar liya hae mujhe
raqs-e-bismil ka tamasha dekh ai qatil na ja
ham-sari ka us qad-e-mauzun se tu dawa na kar
apni had se bahar ai shamshad-e-padar-gil na ja
ishq ke ku mein ki hai ja-e-malamat be-KHabar
aana phir wan se salamat hai bahut mushkil na ja
zahida rindon ki gustaKHi ko KHatir mein na la
hum se diwanon ki baaton par tu ai aaqil na ja
hath malta hi raha 'hasrat' dil us ko de ke haif
hath se aisi tarah ya-rab kisi ka dil na ja
Ghazal
Har ghaDi mat ruTh us se pher pal mein mil na ja
Hasrat Azimabadi