اردو हिंदी
Har ghaDi KHud se ulajhna hai muqaddar mera | Shaahi Shayari
har ghaDi KHud se ulajhna hai muqaddar mera

Ghazal

Har ghaDi KHud se ulajhna hai muqaddar mera

Nida Fazli

;

har ghaDi KHud se ulajhna hai muqaddar mera
main hi kashti hun mujhi mein hai samundar mera

kis se puchhun ki kahan gum hun kai barson se
har jagah DhunDhta phirta hai mujhe ghar mera

ek se ho gae mausamon ke chehre sare
meri aankhon se kahin kho gaya manzar mera

muddaten bit gain KHwab suhana dekhe
jagta rahta hai har nind mein bistar mera

aaina dekh ke nikla tha main ghar se bahar
aaj tak hath mein mahfuz hai patthar mera