har ghaDi karb-e-musalsal mein kaTi jati hai
zindagi apne gunahon ki saza pati hai
yaad aaun ki na aaun meri qismat lekin
un se ummid-e-mulaqat chali jati hai
yun mere baad hai duniya pe udasi tari
jaise duniya mere haalat ka gham khati hai
jab bhi aata hai tasawwur tere insanon ka
ek fariyaad mere munh se nikal jati hai
KHush raho dasht-e-tamanna ki hawao ki mujhe
tum se bichhDe hue yaron ki mahak aati hai
zindagi mein kai aise bhi mile the sathi
ruh ab jin ke tasawwur se bhi ghabraati hai
ghaur karta hun jo 'shafqat' kabhi tanhai mein
apne haalat pe ta-der hansi aati hai
Ghazal
Har ghaDi karb-e-musalsal mein kaTi jati hai
Shafqat Kazmi