اردو हिंदी
Har ghaDi ka sath dukh deta hai jaan-e-man mujhe | Shaahi Shayari
har ghaDi ka sath dukh deta hai jaan-e-man mujhe

Ghazal

Har ghaDi ka sath dukh deta hai jaan-e-man mujhe

Iqbal Sajid

;

har ghaDi ka sath dukh deta hai jaan-e-man mujhe
har koi kahne laga tanhai ka dushman mujhe

din ko kirnen raat ko jugnu pakaDne ka hai shauq
jaane kis manzil mein le jaega pagal-pan mujhe

sada kaghaz rakh ke aaya hun numaish-gah mein
dekh kar hoti thi har taswir ko uljhan mujhe

nachta tha panw mein lamhon ke ghungru bandh kar
de gaya dhoka simaT kar waqt ka aangan mujhe

nekiyon ke phal nahin lagte badi ke peD par
us ne wapas kar diya hai phir tahi-daman mujhe

dosto sun li KHuda ne kal meri pahli dua
sharm se aaKHir jhukani paD gai gardan mujhe

kya mila tujh ko bata andhe se laThi chhin kar
kar diya kyun aas se mahrum jaan-e-man mujhe

sard ho sakti nahin 'sajid' kabhi sine ki aag
dil jalane ko mila hai yaad ka indhan mujhe