har ghaDi ek yahi ehsas-e-ziyan rahta hai
aag raushan thi jahan sirf dhuan rahta hai
KHatm hota hi nahin dasht ka ab sannaTa
koi mausam ho yahan ek saman rahta hai
aa gai ras mere dil ki udasi shayad
itni muddat bhi kahin daur-e-KHizan rahta hai
phul khilte hain to murjhae hue lagte hain
ek ajab KHauf sar-e-shaKH-e-guman rahta hai
saz ke tar hain TuTe hue mutrib chup hain
ab fazaon mein faqat shor-e-sagan rahta hai
rasta chalte hue log ThiThak jate hain
har-qadam jaise tah-e-sang-e-garan rahta hai
main bhi ruk jaun magar ruk nahin pata 'alam'
ek dariya sa sada mujh mein rawan rahta hai
Ghazal
Har ghaDi ek yahi ehsas-e-ziyan rahta hai
Alam Khursheed