har ghaDi chalti hai talwar tere kuche mein
roz mar rahte hain do chaar tere kuche mein
haal sar ka mere zahir hai tere kya kije
koi sabit bhi hai diwar tere kuche mein
shakl ko kyunki na har dafa badal kar aaun
hain meri tak mein aghyar tere kuche mein
gham se badli hai meri shakl to be-KHauf-o-KHatar
din ko bhi aate hain sau bar tere kuche mein
na kare su-e-chaman bhul ke bhi ruKH hargiz
aan kar bulbul-e-gulzar tere kuche mein
naragistan na samajh kholi hui aankhon ko
hain tere talib-e-didar tere kuche mein
lae jab ghar se to behosh paDa tha 'arif'
ho gaya aan ke hoshiyar tere kuche mein
Ghazal
Har ghaDi chalti hai talwar tere kuche mein
Zain-ul-Abideen Khan Arif