har gham mein karim hai hamara
allah rahim hai hamara
kahta hai rahm kha ke mabud
ye abd yatim hai hamara
sehat hai maraz qaza shifa hai
allah hakim hai hamara
tu KHush ho ki hai dahan-e-KHandan
dil gham se do nim hai hamara
qismat mein jo hai wahi milega
maqsum qasim hai hamara
dil ghairat-e-gul hai dagh-e-gham se
dam rashk-e-shamim hai hamara
sabit hai ki dam mein kuchh ka kuchh hai
nadim jo nadim hai hamara
maKHluq na samjhe gunah-e-KHaliq
allah halim hai hamara
hadis tere but hain sab barahman
allah qadim hai hamara
aadil hai tu irs-e-had mein kya kya
ghar bagh-e-naim hai hamara
aankhen nahin par hai shauq-e-didar
dil ain-e-kalim hai hamara
kya pesh-e-nazar hain shabnam-o-gul
goya zar-o-sim hai hamara
har lahza hai 'arsh' umid-e-rahmat
allah rahim hai hamara
Ghazal
Har gham mein karim hai hamara
Meer Kallu Arsh