har gham ko yun to zabt kiye ja raha hun main
is gham ko kya karun ki jiye ja raha hun main
lo sath de chuki shab-e-hijran ka zindagi
ab sham-e-gham ko sath liye ja raha hun main
han aankh tar nahin magar aansu kahan se aaen
hamraaz KHun-e-dil to piye ja raha hun main
kaisa sukun ki dil bhi to hai dafn mere sath
ye saz-e-iztirab liye ja raha hun main
bhar bhar ke de raha hai falak talKH jam-e-gham
kya zauq hai bala ka piye ja raha hun main
han pa-e-sabr thak gae lekin idhar to dekh
ab sajda-e-ha-e-shukr kiye ja raha hun main
'mani' ye sozan-e-nafas-o-rishta-e-wafa
lab-ha-e-shikwa-sang siye ja raha hun main
Ghazal
Har gham ko yun to zabt kiye ja raha hun main
Mani Jayasi