har gam sambhal sambhal rahi thi
yaadon ke bhanwar mein chal rahi thi
sanche mein KHabar ke Dhal rahi thi
ek KHwab ki lau se jal rahi thi
shabnam si lagi jo dekhne main
patthar ki tarah pighal rahi thi
rudad safar ki puchhte ho
main KHwab mein jaise chal rahi thi
kaifiyyat-e-intizar-e-paiham
hai aaj wahi jo kal rahi thi
thi harf-e-dua si yaad us ki
zanjir-e-firaq gal rahi thi
kaliyon ko nishan-e-rah dikha kar
mahki hui raat Dhal rahi thi
logon ko pasand laghzish-e-pa
aise mein 'ada' sambhal rahi thi
Ghazal
Har gam sambhal sambhal rahi thi
Ada Jafri