اردو हिंदी
Har-gam par the shams-o-qamar us dayar mein | Shaahi Shayari
har-gam par the shams-o-qamar us dayar mein

Ghazal

Har-gam par the shams-o-qamar us dayar mein

Habib Jalib

;

har-gam par the shams-o-qamar us dayar mein
kitne hasin the sham-o-sahar us dayar mein

wo bagh wo bahaar wo dariya wo sabza-zar
nashshon se khelti thi nazar us dayar mein

aasan tha safar ki har ek rahguzar par
milte the saya-dar shajar us dayar mein

har-chand thi wahan bhi KHizan ki udas dhup
dil par nahin tha gham ka asar us dayar mein

mahsus ho raha tha sitare hain gard-e-rah
hum the hazar KHak-basar us dayar mein

'jalib' yahan to baat gareban tak aa gai
rakhte the sirf chaak-jigar us dayar mein