اردو हिंदी
Har gam badalte rahe manzar mere aage | Shaahi Shayari
har gam badalte rahe manzar mere aage

Ghazal

Har gam badalte rahe manzar mere aage

Kashif Husain Ghair

;

har gam badalte rahe manzar mere aage
chalta hi raha koi barabar mere aage

kya KHak meri KHak mein imkan ho paida
napaid hain maujud-o-mayassar mere aage

yun dekhne walon ko nazar aata hun pichhe
rahta hai masafat mein mera ghar mere aage

rakhti hai ajab pas meri tishna-labi ka
so mauj uThati hi nahin sar mere aage

hansta hi raha main dar-o-diwar pe apne
rota hi raha mera muqaddar mere aage

kal raat jagati rahi ek KHwab ki duri
aur nind bichhati rahi bistar mere aage

waqif hi nahin koi in aankhon ki rawish se
kam kam jo khula karti hain aksar mere aage

dekhe hi nahin main ne kabhi aankh mein aansu
pahna hi nahin us ne ye zewar mere aage

'ghaer' main kai roz se KHamosh hun aisa
goya nazar aate hain ye patthar mere aage