اردو हिंदी
Har ek zarra bar-e-amanat se Dar gaya | Shaahi Shayari
har ek zarra bar-e-amanat se Dar gaya

Ghazal

Har ek zarra bar-e-amanat se Dar gaya

Salahuddin Nayyar

;

har ek zarra bar-e-amanat se Dar gaya
ek main hi tha ki tere muqabil Thahar gaya

har chiz jal gai thi ba-juz chashm-e-intizar
auron ke ghar bujha ke jo main apne ghar gaya

is daur-e-intishaar ka ye bhi hai hadisa
tahzib zinda rah gai insan mar gaya

wo bhi kabhi tha apne qabile ka aadmi
kal teri anjuman se jo ba-chashm-e-tar gaya

tum muskura ke ek taraf ho gae magar
ilzam sara zulf-e-pareshan ke sar gaya

ab tak bhi jis ko pane ki 'nayyar' hai aarzu
wo lamha-e-aziz na jaane kidhar gaya