har ek zaKHm ki shiddat ko kam kiya jata
namak se kaam na marham ka gar liya jata
dilon ka bojh dilon se utarne ke liye
ye lazmi tha gareban ko siya jata
zamana panw ki Thokar mein aa bhi sakta tha
saron ko apne uTha kar agar jiya jata
kami na aati tere ehtiram mein shaha
kisi gharib ka haq jo use diya jata
hamari maut bhi hoti baqa hamari 'nabil'
ki pyala zahr ka hathon se gar piya jata
Ghazal
Har ek zaKHm ki shiddat ko kam kiya jata
Nabeel Ahmad Nabeel