har ek shaKHs ko ek tantane mein rakhti hai
wo bhant bhant ki machhli ghaDe mein rakhti hai
tamam shahr ke danishwaron ko wo zalim
asir-e-zulf kiye aasare mein rakhti hai
wo galiyan bhi agar de to sher-o-naghma lage
zaban mein loch ajab sur gale mein rakhti hai
use sharab-e-tuhura ka tazkira bhi gunah
ye baat aur hai sab ko nashe mein rakhti hai
har ek ko dard ki lazzat se aashna kar ke
maze mein rahti hai sab ko maze mein rakhti hai
samajh ke haq wo har ehsan bhul jati hai
magar har ek KHata hafize mein rakhti hai
use KHabar hai ki anjam-e-wasl kya hoga
wo qurbaton ki tapish fasle mein rakhti hai
sukun ke sae mein shayad use bhula baiThe
mudam shahr ko ek zalzale mein rakhti hai
Ghazal
Har ek shaKHs ko ek tantane mein rakhti hai
Khalid Yusuf