har ek shaKHs ko dushman agar banaoge
mizaj puchhne wala kahan se laoge
jo sab ko apne hi mear par parakhte rahe
to zindagi mein kise ham-safar banaoge
yahan to har koi chehre pe chehre rakhta hai
uTha ke pahlu se kis ko kise biThaoge
tumhein usul tumhaare hi mar Dalenge
na aapne-ap ko in se agar bachaoge
charagh jalne lagenge tumhaari rahon mein
jo dusron ke gharon mein diye jalaoge
ye ahd tum se agar ho sake to kar lena
hamare baad kisi ka na dil dikhaoge
nahin jhukoge agar ek KHuda ke aage tum
na jaane kitne daron par ye sar jhukaoge
wo tum se ruTh gai jo makan ki raunaq thi
gharib-KHane ko ab kis liye sajaoge
supurd-e-KHak to kar aae man ko tum 'athar'
ghamon ki dhup mein saya kahan se paoge
ye be-hison ki hai basti to phir 'shakil' yahan
sadaqaton ka kise aaina dikhaoge
Ghazal
Har ek shaKHs ko dushman agar banaoge
athar shakeel