اردو हिंदी
Har ek shaKHs KHafa mujhse anjuman mein tha | Shaahi Shayari
har ek shaKHs KHafa mujhse anjuman mein tha

Ghazal

Har ek shaKHs KHafa mujhse anjuman mein tha

Nau Bahar Sabir

;

har ek shaKHs KHafa mujh se anjuman mein tha
ki mere lab pe wahi tha jo mere man mein tha

kasak uThi thi kuchh aisi ki chiKH chiKH paDun
raha main chup hi ki bahron ki anjuman mein tha

ulajh ke rah gai jame ki dilkashi mein nazar
use kisi ne na dekha jo pairahan mein tha

kabhi main dasht mein aawara ek bagula sa
kabhi main nikhat-e-gul ki tarah chaman mein tha

main us ko qatl na karta to KHud-kushi karta
wo ek harif ki surat mere badan mein tha

usi ko mere shab-o-roz par muhit na kar
wo ek lamha-e-kamzor jo gahan mein tha

meri sada bhi na mujh ko sunai di 'sabir'
kuchh aisa shor bapa sahn-e-anjuman mein tha