اردو हिंदी
Har ek shai se mohabbat ki rishta-dari rakh | Shaahi Shayari
har ek shai se mohabbat ki rishta-dari rakh

Ghazal

Har ek shai se mohabbat ki rishta-dari rakh

Nazim Naqvi

;

har ek shai se mohabbat ki rishta-dari rakh
ab is ko jang samajh aur jang jari rakh

na jaane kis ko wo apna samajh ke apna len
nazar ko dil ko tamanna ko bari bari rakh

agar tumhaari hai tanha to is ko le jao
agar hai sajhi ye duniya to sajhedari rakh

na samjhen apna magar ghair to na samjhen log
ab apne aap mein itni to inkisari rakh

yahi se KHwab janam lenge phir nae 'nazim'
lipaT ke nind se aankhon ke panw bhaari rakh