har ek sawal ka dete hain kyun jawab ghalat
paDha hai bachchon ne shayad sabhi nisab ghalat
hamare ahd-e-wafa ka kahin bhi zikr nahin
moarriKHon ne likhe ab ke sare bab ghalat
tanaben TuT ke bikhrin tamam KHemon ki
hawa ke ruKH ka lagaya gaya hisab ghalat
KHayal-e-shauq ki be-chehragi pe kya roen
dilon mein hum ne basae the sare KHwab ghalat
ibaadaton ke maraatib buland hon kaise
tere amal mein guna ka hai irtikab ghalat
hum ehtisab-e-amal se gurez-pa hi rahe
na wo ghalat hai na us ka koi itab ghalat
dil-o-dimagh ki basti ujaD bhi sakti hai
paDhe jo aankh hamari koi kitab ghalat
masafaton ke kaDe kos sahl kya honge
agar safar mein mile koi ham-rikab ghalat
Ghazal
Har ek sawal ka dete hain kyun jawab ghalat
Noor muneeri