اردو हिंदी
Har ek samt jab usko pukarna Thahra | Shaahi Shayari
har ek samt jab usko pukarna Thahra

Ghazal

Har ek samt jab usko pukarna Thahra

Wali Alam Shaheen

;

har ek samt jab us ko pukarna Thahra
wo phir meri rag-e-jaan se qarib kya Thahra

fareb-KHurda nazar ko fareb dun kab tak
wo ek abr tha kya aaya aur kya Thahra

jidhar se jaiye raste udhar hi jate the
magar wahan se nikalna to moajiza Thahra

wo sail tha ki musafir adam ki rah gae
jahaz dur magar KHushkiyon pe ja Thahra

jo din ko hath na aaya sarab ki surat
wo shab samet mere kunj-e-gham mein aa Thahra

mata-e-jaan hai jo us ek KHwab ka hasil
sulagti aankh mein neze ka zaiqa Thahra

ab us ke shahr pe 'shahin' har safar hai tamam
ajib ham-safari ka moamla Thahra