har ek samt ishaare the aur rasta bhi
malal ye hai ki aaya na hum ko chalna bhi
hamari pyas mukammal ho to qadam bhi uThen
rakhe hain samne dariya bhi aur sahra bhi
bujhe charagh to hairaniyan kuchh aur baDhin
hamare sath hai ab tak hamara saya bhi
ek aisi lahr uThi Dubne ka KHauf uTha
ab ek jaise hain manjdhaar bhi kinara bhi
safar se lauT to aaya magar na tha malum
hamare sath chala aaega ye rasta bhi
Ghazal
Har ek samt ishaare the aur rasta bhi
Sunil Aftab