har ek ruh mein ek gham chhupa lage hai mujhe
ye zindagi to koi bad-dua lage hai mujhe
pasand-e-KHatir-e-ahl-e-wafa hai muddat se
ye dil ka dagh jo KHud bhi bhala lage hai mujhe
jo aansuon mein kabhi raat bhig jati hai
bahut qarib wo aawaz-e-pa lage hai mujhe
main so bhi jaun to kya meri band aankhon mein
tamam raat koi jhankta lage hai mujhe
main jab bhi us ke KHayalon mein kho sa jata hun
wo KHud bhi baat kare to bura lage hai mujhe
main sochta tha ki lauTunga ajnabi ki tarah
ye mera ganw to pahchanta lage hai mujhe
na jaane waqt ki raftar kya dikhati hai
kabhi kabhi to baDa KHauf sa lage hai mujhe
bikhar gaya hai kuchh is tarah aadmi ka wajud
har ek fard koi saneha lage hai mujhe
ab ek aadh qadam ka hisab kya rakhiye
abhi talak to wahi fasla lage hai mujhe
hikayat-e-gham-e-dil kuchh kashish to rakhti hai
zamana ghaur se sunta hua lage hai mujhe
Ghazal
Har ek ruh mein ek gham chhupa lage hai mujhe
Jaan Nisar Akhtar