اردو हिंदी
Har ek ruKH se mujhe lutf-e-justuju aae | Shaahi Shayari
har ek ruKH se mujhe lutf-e-justuju aae

Ghazal

Har ek ruKH se mujhe lutf-e-justuju aae

Ashraf Rafi

;

har ek ruKH se mujhe lutf-e-justuju aae
zara wo aur qarib-e-rag-e-gulu aae

maal-e-naz-e-KHudi kya hai ye to samjha dun
jise ho naz-e-KHudi mere ru-ba-ru aae

baghair izn hi saqi ne kar liya qabza
hamare waste jab saghar-o-subu aae

qadam qadam pe hai KHuddari-e-hayat ka Dar
meri zaban pe kya harf-e-arzu aae

teri faza-e-mohabbat ho KHush-gawar itni
nafas nafas se KHulus-o-wafa ki bu aae

hamare dil mein adawat rahegi kya 'ashraf'
nazar jhukae hue jab koi adu aae