har ek rang mein yun Dub kar nikharte rahe
KHutut naqsh-e-musawwir mein rang bharte rahe
KHuda bachae bagulon ki zad mein aae hain
wo barg-e-sabz jo mauj-e-hawa se Darte rahe
unhin ke panw se lipTi hui hai mauj-e-hayat
jo be kanar samundar ke par utarte rahe
kahan thi jurat-e-nazzara-e-jamal-e-sahar
agarche gesu-e-shab raat-bhar sanwarte rahe
wahin bahaar-ba-kaf qafile lapak ke chale
jahan jahan tere naqsh-e-qadam ubharte rahe
agarche basta-e-dam-e-KHayal the lekin
kushuda uqda-e-lail-o-nahaar karte rahe
unhin ke sath hai apna safar 'tamannai'
wo KHush-KHiram jo har daur se guzarte rahe
Ghazal
Har ek rang mein yun Dub kar nikharte rahe
Aziz Tamannai