har ek rang har ek KHwab ke hisar mein tu
ki aansuon ki tarah chashm-e-intizar mein tu
udas rakh se manzar ke ek shahr mein main
nae jahan ki ek subh-e-zar-nigar main tu
mein itne dur ufuq se pare bhi dekh aaya
mila to jism par bikhre hue ghubar mein tu
mein zaKHm zaKHm KHizaon ke bich zinda hun
numu-pazir bahaaron ke rang-zar mein tu
ki tera nam to jalte diyon ki lau mein hai
tu bansuri ki har ek tan mein pukar mein tu
ye rahguzar to tamazat ke shahr ko jae
kahin jale na bahishton ke e'tibar mein tu
mujhe bacha le taaqub se zard mausam ke
mujhe chhupa le panahon ke sabz ghaar mein tu

Ghazal
Har ek rang har ek KHwab ke hisar mein tu
Qayyum Tahir