har ek rang dhanak ki misal aisa tha
shab-e-visal tumhaara jamal aisa tha
hawa ke hath pe chhaale hain aaj tak maujud
mere charagh ki lau mein kamal aisa tha
main chal paDa hun andhere ki ungliyan thame
utarti sham ke ruKH ka jamal aisa tha
zara si der bhi Thahra nahin hun maujon mein
samay ke bahr mein ab ke uchhaal aisa tha
wo sar uThae yahan se palaT gaya 'ahmad'
main sar jhukae khaDa hun sawal aisa tha
Ghazal
Har ek rang dhanak ki misal aisa tha
Ahmad Khayal