اردو हिंदी
Har ek rah se aage hai KHwab ki manzil | Shaahi Shayari
har ek rah se aage hai KHwab ki manzil

Ghazal

Har ek rah se aage hai KHwab ki manzil

Muzaffar Ali Syed

;

har ek rah se aage hai KHwab ki manzil
tere huzur se baDh kar ghayab ki manzil

nahin hai aap hi maqsud apna jauhar-e-zat
ki aaftab nahin aaftab ki manzil

kuchh aisa ranj diya bachpane ki ulfat ne
phir us ke baad na aai shabab ki manzil

musafiron ko barabar nahin zaman-o-makan
hawa ka ek qadam aur habab ki manzil

mohabbaton ke ye lamhe daregh kyun kije
bhugat hi lenge jo aai hisab ki manzil

milegi baada-gusaron ko shaiKH kya jaane
gunah ki rah se ho kar sawab ki manzil

masam nach rahe hain muamlat ke liye
guzar gai hai sawal-o-jawab ki manzil

mili jo aas to sab marhale hue aasan
nahin hai koi bhi manzil sarab ki manzil

mizaj-e-dard ko aasudgi se ras karo
kahan milegi tumhein iztirab ki manzil

rah-e-junun mein talab ke siwa nahin 'sayyad'
agarche tai ho KHuda ki kitab ki manzil