har ek rah mein imkan-e-hadisa hai abhi
ki kho na jaun andhere mein sochna hai abhi
tamam umr wo chalta raha hai sahra mein
ghane daraKHt ke sae mein jo khaDa hai abhi
sukun tere tasawwur se jis ko milta hai
wo teri did ko lekin taDap raha hai abhi
har ek shaKHs ke chehre pe KHauf tari hai
na jaane kaun andhere mein chiKHta hai abhi
wo kho gaya hai kahin bhiD mein to kya kijiye
jo dukh hai us ke na milne ka wo juda hai abhi
Thahar gae ho sar-e-rah kis liye aaKHir
chale bhi jao ki koi bala raha hai abhi
daricha khol ke 'nayyar' na dekhiye bahar
lahuluhan manazir ka silsila hai abhi
Ghazal
Har ek rah mein imkan-e-hadisa hai abhi
Azhar Naiyyar