har ek naqsh tere panw ka nishan sa hai
har ek rahguzar tera aastan sa hai
kahin simaT ke na rah jae himmat-e-parwaz
ki shaKH shaKH pe pinhan ek aashiyan sa hai
abhi gulon ki nazar se nazar nahin milti
abhi faza-e-chaman mein dhuan dhuan sa hai
na jaane shauq ki wo raat kaT gai kaise
har ek lamha jahan umr-e-jawedan sa hai
ujaD gai hai meri kaenat-e-dil phir bhi
meri nigah mein aabaad ek jahan sa hai
zaban pe nam bhi aata hai tera ruk ruk kar
har ek tar-e-nafas dil ka pasban sa hai
ye kis ne aaj jagai hai ahd-e-rafta ki yaad
ye kaun dal ke qarin aaj nauha-KHwan sa hai
lage hain dil se ubharne wafa ke afsane
ki apne haal pe phir koi mehrban sa hai
Ghazal
Har ek naqsh tere panw ka nishan sa hai
Sufi Tabassum