har ek marhala-e-dard se guzar bhi gaya
fishaar-e-jaan ka samundar wo par kar bhi gaya
KHajil bahut hun ki aawargi bhi Dhab se na ki
main dar-ba-dar to gaya lekin apne ghar bhi gaya
ye zaKHm-e-ishq hai koshish karo hara hi rahe
kasak to ja na sakegi agar ye bhar bhi gaya
guzarte waqt ki surat hua na begana
agar kisi ne pukara to main Thahar bhi gaya
Ghazal
Har ek marhala-e-dard se guzar bhi gaya
Sabir Zafar