har ek lamha teri yaad mein basar karna
hamein bhi aa gaya ab KHud ko mo'tabar karna
sada se ek sada aa rahi hai kanon mein
azim kaam hai logon ke dil mein ghar karna
hain yun to ghar mein bhi KHadshat zindagi ko magar
ajib lagta hai is daur mein safar karna
kahin shahadaten paen kahin bane ghazi
har ek marka aata hai hum ko sar karna
wo ek shah jo taDpa watan ki miTTi ko
ilahi aise kisi ko na dar-ba-dar karna
dilon ke farq miTane ki baat kije 'zubair'
idhar ki baat munasib nahin udhar karna
Ghazal
Har ek lamha teri yaad mein basar karna
Zubair Amrohvi