har ek lamha meri aag mein guzare koi
phir us ke baad mujhe ishq mein utare koi
main apni gunj ko mahsus karna chahta hun
utar ke mujh mein mujhe zor se pukare koi
ab aarzu hai wo har shai mein jagmagane lage
bas ek chehre mein kab tak use nihaare koi
falak pe chand-sitare Tange hain sadiyon se
main chahta hun zamin par inhen utare koi
hai dukh to kah do kisi peD se parinde se
ab aadmi ka bharosa nahin hai pyare koi
Ghazal
Har ek lamha meri aag mein guzare koi
Madan Mohan Danish