har ek lamha-e-gham bahr-e-be-karan ki tarah
kisi ka dhyan hai aise mein baadban ki tarah
nasim-e-subh ye kahti hai kitni hasrat se
koi to bagh mein mil jae baghban ki tarah
hai wo tapish tere palkon ke shamiyane mein
ki ab to dhup bhi lagti hai saeban ki tarah
har ek moD pe milte hain ham-KHayal magar
kahin to koi mile mujh ko ham-zaban ki tarah
fareb-e-chashm hai yaro ki ek haqiqat hai
saman jo shahr ka hai shahr ke saman ki tarah
hawa-e-zist ko aana hai jab tak aaegi
bahaar ban ke kabhi to kabhi KHizan ki tarah
har ek lafz nikalta hai misl-e-tir-e-nawa
zaban-e-yar hai 'arshad' kisi kaman ki tarah
Ghazal
Har ek lamha-e-gham bahr-e-be-karan ki tarah
Arshad Kamal