اردو हिंदी
Har ek KHaliya ko aaina ghar banate hue | Shaahi Shayari
har ek KHaliya ko aaina ghar banate hue

Ghazal

Har ek KHaliya ko aaina ghar banate hue

Riyaz Latif

;

har ek KHaliya ko aaina ghar banate hue
bahut baTa hun badan mo'tabar banate hue

mere nuzul mein sat aasman ki gardish hai
utar raha hun dilon mein bhanwar banate hue

adam ki rag mein jo ek lahar hai wahin se kahin
guzar gaya hun safar muKHtasar banate hue

meri hatheli pe Thahra hai irtiqa ka bahao
jahan ki KHak se apna khanDar banate hue

ki do jahan ke isbaat main ne phunke hain
tere sadaf mein nafi ka guhar banate hue

jagaun kis ke manazir ufuq ki aankhon mein
ki main hi KHwab hua hun nazar banate hue

'riyaz' phir se bhaTakta hai jugnuon ki tarah
kisi ki raat mein dil ko sharar banate hue