har ek jism pe bas ek hi se gahne lage
hamein to log tumhaara hi rup pahne lage
bas ek lau si nazar aai thi phir us ke baad
bujhe charagh siyah paniyon pe bahne lage
use bhi hadisa kahiye ki KHushk dariya par
paDi jo dhup to patthar pighal ke bahne lage
ruton ne karwaTen badlin to hum ne bhi ek bar
phir apne ghar ko sajaya aur us mein rahne lage
na jaane kyun mere ahbab mere bare mein
jo baat aam thi sargoshiyon mein kahne lage
jo qatra qatra piya hum ne zindagi ka zahr
to 'rind' ban ke har ek dil ka dard bahne lage

Ghazal
Har ek jism pe bas ek hi se gahne lage
Rind Saghari