اردو हिंदी
Har ek jalwa-e-rangin meri nigah mein hai | Shaahi Shayari
har ek jalwa-e-rangin meri nigah mein hai

Ghazal

Har ek jalwa-e-rangin meri nigah mein hai

Akhtar Shirani

;

har ek jalwa-e-rangin meri nigah mein hai
gham-e-firaq ki duniya dil-e-tabah mein hai

kisi ki yaad karam uff are maaz-allah
tabah ho ke bhi zalim dil-e-tabah mein hai

hazar pardon mein o chhupne wale ye sun le
tera jamal mere daman-e-nigah mein hai

jahan mein mujh se bhi nakaam-e-arzu kam hain
na rang aah mein hai aur na soz aah mein hai