har ek haal mein chalne se jis ko kaam raha
wo shaKHs qaid-e-yaran-e-tez-gam raha
safar alamat-e-hasti safar dalil-e-hayat
KHusha wo log safar jin ka na-tamam raha
hayat-e-gul ka hayat-e-chaman hai paimana
amar hai phul chaman ko agar dawam raha
bayaz-e-mehr nigal kar bhi raat raat rahi
siyahkar ka chehra siyah-fam raha
hayat-o-maut ke sangam pe ji rahe hain hum
hamara jashn-e-tarab bhi gham-iltizam raha
zamana KHud ko muKHatab samajh na le mera
main apne aap se dar-asl ham-kalam raha
ajib 'jafar'-e-farKHanda-jaan ka mashrab hai
ki rind ho ke bhi KHush-baKHt nek-nam raha
Ghazal
Har ek haal mein chalne se jis ko kaam raha
Jafar Baluch