har ek ghar mein diya bhi jale anaj bhi ho
agar na ho kahin aisa to ehtijaj bhi ho
rahegi wadon mein kab tak asir KHush-haali
har ek bar hi kal kyun kabhi to aaj bhi ho
na karte shor-sharaba to aur kya karte
tumhaare shahr mein kuchh aur kaam-kaj bhi ho
hukumaton ko badalna to kuchh muhaal nahin
hukumaten jo badalta hai wo samaj bhi ho
badal rahe hain kai aadmi darindon mein
maraz purana hai is ka naya ilaj bhi ho
akele gham se nai shairi nahin hoti
zaban-e-'mir' mein 'ghaalib' ka imtizaj bhi ho
Ghazal
Har ek ghar mein diya bhi jale anaj bhi ho
Nida Fazli