har ek ghar ka daricha khula hai mere liye
tamam shahr hi daman-kusha hai mere liye
har ek tarshe hue jism mein hai aanch teri
har ek but-kada aatish-kada hai mere liye
bala-e-jaan hain ye gahraiyan samundar ki
azab ishrat-e-qatra bana hai mere liye
main ek khel samajhta tha dard-e-ulfat ko
tamam umr ka ab ratjaga hai mere liye
bhigo bhigo gaya baadal kisi ki zulfon ka
sitam-zarif ye kali ghaTa hai mere liye

Ghazal
Har ek ghar ka daricha khula hai mere liye
Raza Hamdani