har ek gam pe sadiyan nisar karte hue
main chal raha tha zamane shumar karte hue
yahi khula ki musafir ne KHud ko par kiya
teri talash ke sahra ko par karte hue
main rashk-e-resha-e-gul tha badal ke sang hua
badan ko tere badan ka hisar karte hue
mujhe zarur kinare pukarte honge
magar mein sun nahin paya pukar karte hue
mein iztirab-e-zamana se bach nikalta hun
tumhaare qaul ko dil ka qarar karte hue
jahan-e-KHwab ki manzil kabhi nahin aai
zamane chalte rahe intizar karte hoe
main rah-e-sud-o-ziyan se guzarta jata hun
kabhi gurez kabhi iKHtiyar karte hue
nahin gira meri qatil ana ka taj mahal
main mar gaya hun KHud apne pe war karte hue
main aur nim-dili se wafa ki rah chalun
main apni jaan se guzarta hun pyar karte hue
yaqin chhoD ke nayyar guman pakaDta raha
nigah-e-yar tera e'tibar karte hue
Ghazal
Har ek gam pe sadiyan nisar karte hue
Shahzad Nayar