har ek gam pe ek but banana chaha hai
jise bhi chaha bahut kafirana chaha hai
hazar qism ke ilzam aur KHamoshi
talluqat ko yun bhi nibhana chaha hai
girae jaane lage hain daraKHt har jaanib
ki main ne shaKH pe ek aashiyana chaha hai
hai kyun adawat-e-aghyar hi ka zikr yahan
chaman to ahl-e-chaman ne jalana chaha hai
hisar-e-nafrat-e-daur-e-jadid mein dil ne
mohabbaton ka purana zamana chaha hai
KHudaya dasht-nawardi ka shauq hai kis ko
musafiron ne faqat aab-o-dana chaha hai
chaman mein phul 'tasawwur' khilen har ek jaanib
isi sabab se to sahra basana chaha hai
Ghazal
Har ek gam pe ek but banana chaha hai
Yaqoob Tasawwur