har ek Dubta manzar dikhai deta hai
hamare ghar se samundar dikhai deta hai
main jis ke sae se bach kar nikalna chahta hun
wo mujh ko rah mein aksar dikhai deta hai
use kabhi bhi na is baat ki KHabar ho pae
wo apne aap se behtar dikhai deta hai
hamare bich ye nazdikiyan hi kafi hain
tumhaare ghar se mera ghar dikhai deta hai
Ghazal
Har ek Dubta manzar dikhai deta hai
Sunil Aftab