اردو हिंदी
Har ek dar pe sar ko Tapakne ke bawajud | Shaahi Shayari
har ek dar pe sar ko Tapakne ke bawajud

Ghazal

Har ek dar pe sar ko Tapakne ke bawajud

Om Krishn Rahat

;

har ek dar pe sar ko Tapakne ke bawajud
kabe pahunch gaya hun bhaTakne ke bawajud

kya kijiye ki gard talab ki jami rahi
daman-e-dil ko rose jhaTakne ke bawajud

shayad khuli hai aap ke aane se chandni
dhundli si lag rahi thi chhiTakne ke bawajud

kaisa hai ye bahaar ka mausam ki bagh mein
hansti nahin hain kaliyan chaTakne ke bawajud

hum bhi kitab-e-zist ko paDhte chale gae
ek ek harf-e-gham pe aTakne ke bawajud

ab ke junun mein aalam-e-shoridgi na puchh
qaem raha hai sar ko paTakne ke bawajud

rahat guzar di hai baDi shan se hayat
aankhon mein zindagi ki khaTakne ke bawajud