har ek chiz hai fani faqat hayat nahin
ba-juz KHuda ke kisi ko yahan sabaat nahin
hayat nam hi tabdiliyon ka hai jaanan
badal gae ho jo tum bhi to koi baat nahin
karam hai ye mere do ek KHas yaron ka
tabahiyon mein meri dushmanon ka hath nahin
ki jaise dil nahin sine mein dukh dhaDakta hai
jahan bhi jaun alam se kahin najat nahin
ghazab ka silsila thamne hi mein nahin aata
zara sa pyar hi manga tha kaenat nahin
main zaKHm zaKHm sahi hausla to qaem hai
shikasta-haal to hun par ye meri mat nahin
chali gai ho jo tum bhi to kya gila tum se
yahan to yun hai ki main KHud bhi apne sath nahin
sahar bhi ghar mere 'shahzad' tirgi lai
qusur-war meri jaan sirf raat nahin
Ghazal
Har ek chiz hai fani faqat hayat nahin
Farhat Shahzad