har ek bandish-e-KHud-saKHta bayan se uTha
takallufat ka parda bhi darmiyan se uTha
faqat KHala hi nahin hai sada lagate chalo
ki abr-e-barish-e-naisan bhi aasman se uTha
shajar ke sae mein baiTha hun main tujhe kya hai
jo ho sake to mujhe apne aastan se uTha
fusun-taraaz thi kab chashm-e-nim-wa itni
lahu ka fitna magar zeb-e-dastan se uTha
nazar na aai jo rah-e-mafar to phir main bhi
dhuan dhuan sa sar-e-bazm-e-dostan se uTha
yahan ki rasm hai 'sahba' kasad-bazari
ye jins-e-dil hai baDi be-baha dukan se uTha
Ghazal
Har ek bandish-e-KHud-saKHta bayan se uTha
Sahba Waheed