har ek baat teri be-sabaat kitni hai
palaTna baat ko dam bhar mein baat kitni hai
abhi to sham hui hai abhi to aae ho
abhi se puchh rahe ho ki raat kitni hai
wo sunte sunte jo ghabrae haal-e-dil bole
bayan kitni hui wardat kitni hai
tere shahid ko dulha bana hua dekha
rawan janaze ke pichhe baraat kitni hai
kisi tarah nahin kaTti nahin guzar chukti
ilahi saKHt ye qaid-e-hayat kitni hai
hamari jaan hai qimat to dil hai baiana
giran-baha lab-e-nazuk ki baat kitni hai
jo shab ko khilte hain ghunche wo din ko jhaDte hain
bahaar-e-bagh-e-jahan be-sabaat kitni hai
mahinon ho gae dekhi nahin hai subh-e-ummid
kise KHabar ye musibat ki raat kitni hai
udu ke samne ye dekhna hai hum ko bhi
kidhar ko hai nigah-e-iltifat kitni hai
ghazal likhen bhi to kya KHak hum likhen 'beKHud'
zamin dekhiye ye wahiyat kitni hai
Ghazal
Har ek baat teri be-sabaat kitni hai
Bekhud Dehlvi