har ek baat pe kyun pech-o-tab hota hai
azizo jurm-e-mohabbat azab hota hai
faraaz-e-baam pe dekha hai jab kabhi un ko
nazar mein beach ruKH-e-mahtab hota hai
faqat ye ishq-o-mohabbat ki hum pe aafat hai
ki jab bhi hota hai hum par itab hota hai
jahan pe zulm-o-sitam had se apni baDhte hain
yaqin mano wahin inqalab hota hai
na anjuman mein Thikana na apne ghar mein kahin
KHarab bazm bhi KHana-KHarab hota hai
sawal-e-ajr-e-mohabbat pe wo bigaD baiTha
itab karta hai jab la-jawab hota hai
sambhal ke baiTh zara dil ko tham ai 'shadan'
kisi ka husn abhi be-naqab hota hai
Ghazal
Har ek baat pe kyun pech-o-tab hota hai
Shanti Lal Malhotra