har ek baat kisi baat par hai goya tanz
meri zaban meri zat par hai goya tanz
na wo KHulus ki garmi na walehana-pan
kisi se milna mulaqat par hai goya tanz
nigah-e-adam-e-KHaki ki wusaton ka bayan
tamam arz-o-samawat par hai goya tanz
ajib shaKHs hai us ki bas ek KHamoshi
zamane bhar ki KHurafat par hai goya tanz
kisi ke hath pe baiat na kar saka main 'nadim'
so apna hath mere hat par hai goya tanz

Ghazal
Har ek baat kisi baat par hai goya tanz
Nadeem Fazli