اردو हिंदी
Har ek ahd mein jo sangsar hota raha | Shaahi Shayari
har ek ahd mein jo sangsar hota raha

Ghazal

Har ek ahd mein jo sangsar hota raha

Ishrat Zafar

;

har ek ahd mein jo sangsar hota raha
lahu lahu main usi harf ke badan mein hun

zaban kyun nahin banti hai ham-nawa dil ki
ye shaKHs kaun hai main kis ke pairahan mein hun

mere lahu se hi us ne sipar ka kaam liya
use KHabar thi ki main taq apne fan mein hun

har aaine mein hai mahfuz meri hi taswir
bahut dinon se main KHud apni anjuman mein hun

sadaen deta hai 'ishrat' koi mere andar
ki main rafiq tera rah-e-pur-shikan mein hun